kash hoti wafa zamane mein
kaash hotī vafā zamāne meñ
par haqīqat kahāñ fasāne meñ
log auqāt bhuul jaate haiñ
dūsroñ kā mazāq uḌāne meñ
sochtā huuñ kabhī kabhī yuuñ hī
harj kyā thā use manāne meñ
ham paḌe haiñ dayār-e-ġhair meñ yuuñ
jaise lāsheñ hoñ sard ḳhāne meñ
kyā kaheñ ik adhūre qisse ko
lag ga.ī umr kyoñ bhulāne meñ
roz hī saañs phuul jaatī hai
zindagānī ke naaz uThāne meñ
haif bhejā gayā huuñ maiñ 'shākir'
itifāqan ġhalat zamāne meñ
kash hoti wafa zamane mein
par haqiqat kahan fasane mein
log auqat bhul jate hain
dusron ka mazaq uDane mein
sochta hun kabhi kabhi yun hi
harj kya tha use manane mein
hum paDe hain dayar-e-ghair mein yun
jaise lashen hon sard KHane mein
kya kahen ek adhure qisse ko
lag gai umr kyon bhulane mein
roz hi sans phul jati hai
zindagani ke naz uThane mein
haif bheja gaya hun main 'shakir'
itifaqan ghalat zamane mein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 608)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.