kash iqrar kar liya hota
kaash iqrār kar liyā hotā
do ghaḌī pyaar kar liyā hotā
haañ vahī zindagī kā maqsad thā
us se iz.hār kar liyā hotā
gar charāġhoñ meñ ḳhuun baaqī thā
shab ko talvār kar liyā hotā
zinda rahne kā ik vasīla thā
ġham trahdār kar liyā hotā
koī shikva nahīñ 'tapish' tum se
varna sarkār kar liyā hotā
kash iqrar kar liya hota
do ghaDi pyar kar liya hota
han wahi zindagi ka maqsad tha
us se izhaar kar liya hota
gar charaghon mein KHun baqi tha
shab ko talwar kar liya hota
zinda rahne ka ek wasila tha
gham trahdar kar liya hota
koi shikwa nahin 'tapish' tum se
warna sarkar kar liya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.