kash itna tu mere pas kabhi aa jae
kaash itnā tū mire paas kabhī aa jaa.e
biich se ho ke havā jaa.e to sharmā jaa.e
ye terī yaad kā aanā bhī hai kuchh aisā hī
jaise mehmān achānak se koī aa jaa.e
is liye bhī maiñ tujhe yaad kiyā kartā huuñ
kyā pata kal ko ye exam meñ pūchhā jaa.e
kaash aisā ho ki ai yaar kisī din mujh se
raah chalte hue ik baar tū Takrā jaa.e
ek maiñ huuñ jo tujhe dekh ke paglā jā.ūñ
ek tū hai jo mujhe dekh ke sharmā jaa.e
yuuñ lagegā ke koī chāñd chhupā ho jaise
ye tirī zulf jo chehre pe tire aa jaa.e
maiñ yahī soch ke chhūne se tujhe Dartā huuñ
ye tirī aag mirā jism na jhulsā jaa.e
kash itna tu mere pas kabhi aa jae
bich se ho ke hawa jae to sharma jae
ye teri yaad ka aana bhi hai kuchh aisa hi
jaise mehman achanak se koi aa jae
is liye bhi main tujhe yaad kiya karta hun
kya pata kal ko ye exam mein puchha jae
kash aisa ho ki ai yar kisi din mujh se
rah chalte hue ek bar tu Takra jae
ek main hun jo tujhe dekh ke pagla jaun
ek tu hai jo mujhe dekh ke sharma jae
yun lagega ke koi chand chhupa ho jaise
ye teri zulf jo chehre pe tere aa jae
main yahi soch ke chhune se tujhe Darta hun
ye teri aag mera jism na jhulsa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.