kash ki jo pahchana hota apnon ko beganon ko
kaash ki jo pahchānā hotā apnoñ ko begānoñ ko
ashkoñ se phir thoḌe hī bharte apne hī paimānoñ ko
mere dil ko sab ne samjhā ek kirā.e kā kamra
jaane kitne zaḳhm diye the maiñ ne bhī mehmānoñ ko
phuul sā nāzuk rishta thā vo ab tum us ko jaane do
kāñToñ se bhar rakkhā thā ham ne apne gul-dānoñ ko
saare ghar kī raunaq thā jo vo bhī ham ko chhoḌ gayā
kyoñ gaalī dete rahte haiñ kamroñ ko dālānoñ ko
ab jab aage hī baḌhnā hai miTTī Dāleñ ḳhatm kareñ
āḳhir kab tak Dho.eñge ham in pyāre afsānoñ ko
kashtī jab ho beach safar meñ ishq samundar sahrā kyā
manzil kī jānib ab dekho chhoḌo bhī tūfānoñ ko
tahzībeñ to ye kahtī haiñ vasl kī ḳhātir zabt karo
zabt se hotā kyā hī hāsil maar diyā armānoñ ko
jannat meñ bhī dozaḳh kā hī sog manāte rahte haiñ
ḳhushiyāñ raas nahīñ ātīñ haiñ ham jaise insānoñ ko
qatl na hogā tum se merā maiñ apnā hī dushman huuñ
aag lagā do bandūqoñ meñ pheñko tīr-kamānoñ ko
kash ki jo pahchana hota apnon ko beganon ko
ashkon se phir thoDe hi bharte apne hi paimanon ko
mere dil ko sab ne samjha ek kirae ka kamra
jaane kitne zaKHm diye the main ne bhi mehmanon ko
phul sa nazuk rishta tha wo ab tum us ko jaane do
kanTon se bhar rakkha tha hum ne apne gul-danon ko
sare ghar ki raunaq tha jo wo bhi hum ko chhoD gaya
kyon gali dete rahte hain kamron ko dalanon ko
ab jab aage hi baDhna hai miTTi Dalen KHatm karen
aaKHir kab tak Dhoenge hum in pyare afsanon ko
kashti jab ho beach safar mein ishq samundar sahra kya
manzil ki jaanib ab dekho chhoDo bhi tufanon ko
tahziben to ye kahti hain wasl ki KHatir zabt karo
zabt se hota kya hi hasil mar diya armanon ko
jannat mein bhi dozaKH ka hi sog manate rahte hain
KHushiyan ras nahin aatin hain hum jaise insanon ko
qatl na hoga tum se mera main apna hi dushman hun
aag laga do banduqon mein phenko tir-kamanon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.