kash ki main bhi hota patthar
kaash ki maiñ bhī hotā patthar
gar thā un ko pyārā patthar
logo kī to baat kareñ kyā
terā dil bhī niklā patthar
ham donoñ meñ bantī kaise
ek thā shīsha duujā patthar
shīsha to kamzor baḌā thā
phir bhī kaise TuuTā patthar
sab ke hisse hiire motī
mere hisse aayā patthar
pāras thā vo tum ne jaanā
sab ne jis ko samjhā patthar
kal tak phuul the jin hāthoñ meñ
un hāthoñ meñ aaj thā patthar
kash ki main bhi hota patthar
gar tha un ko pyara patthar
logo ki to baat karen kya
tera dil bhi nikla patthar
hum donon mein banti kaise
ek tha shisha duja patthar
shisha to kamzor baDa tha
phir bhi kaise TuTa patthar
sab ke hisse hire moti
mere hisse aaya patthar
paras tha wo tum ne jaana
sab ne jis ko samjha patthar
kal tak phul the jin hathon mein
un hathon mein aaj tha patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.