kash mahfil mein aaj tu bhi ho
kaash mahfil meñ aaj tū bhī ho
aur kuchh merī guftugū bhī ho
DhūñDne meñ kuchh aur lutf aa.e
dil meñ gar zauq-e-justujū bhī ho
kuchh tumhārā nishāñ nahīñ miltā
aur duniyā meñ chār-sū bhī ho
ḳhaak paidā ho lutf-e-ḳhud-bīnī
koī ā.īna rū-ba-rū bhī ho
hosh uḌte haiñ kis ke dekheñge
guftugū un se dū-badū bhī ho
tuur par aa.eñ vo 'kalīm' magar
un ke jalvoñ kī aarzū bhī ho
kash mahfil mein aaj tu bhi ho
aur kuchh meri guftugu bhi ho
DhunDne mein kuchh aur lutf aae
dil mein gar zauq-e-justuju bhi ho
kuchh tumhaara nishan nahin milta
aur duniya mein chaar-su bhi ho
KHak paida ho lutf-e-KHud-bini
koi aaina ru-ba-ru bhi ho
hosh uDte hain kis ke dekhenge
guftugu un se du-badu bhi ho
tur par aaen wo 'kalim' magar
un ke jalwon ki aarzu bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.