kash main bhul sakun aaj hi chehra tera
kaash maiñ bhuul sakūñ aaj hī chehrā terā
bujhne paa.e na magar ishq kā sho.ala terā
koī sūrat koī manzil na rahī yaad mujhe
haañ agar yaad rahā hai to vo rasta terā
tū kahīñ khoyā gayā ho to maiñ DhūñDūñ tujh ko
sabt hai dil pe mire naqsh-e-kaf-e-pā terā
maiñ ne chāhā thā parastish kī hadoñ tak tujh ko
terī bad-ḳhūī ne dhuñdlā diyā naqsha terā
paañv gaaḌe rahā barsoñ maiñ daraḳhtoñ kī tarah
āḳhir-e-kār bahā le gayā dariyā terā
maut kī merī duā karte the aur kahte the dost
ham se dekhā nahīñ jaatā hai tamāshā terā
hai koī aisā ki jo us ko batā.e 'shohrat'
chashma-e-āb-e-baqā mar gayā pyāsā terā
kash main bhul sakun aaj hi chehra tera
bujhne pae na magar ishq ka shoala tera
koi surat koi manzil na rahi yaad mujhe
han agar yaad raha hai to wo rasta tera
tu kahin khoya gaya ho to main DhunDun tujh ko
sabt hai dil pe mere naqsh-e-kaf-e-pa tera
main ne chaha tha parastish ki hadon tak tujh ko
teri bad-KHui ne dhundla diya naqsha tera
panw gaDe raha barson main daraKHton ki tarah
aaKHir-e-kar baha le gaya dariya tera
maut ki meri dua karte the aur kahte the dost
hum se dekha nahin jata hai tamasha tera
hai koi aisa ki jo us ko batae 'shohrat'
chashma-e-ab-e-baqa mar gaya pyasa tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.