kash mil jae ham-mizaj koi
kaash mil jaa.e ham-mizāj koī
mere ġham kā bhī ho ilaaj koī
jaag kar raat jab guzārnī ho
DhūñD letā huuñ kām-kāj koī
andar aane kā dar to band huā
kaise dil par karegā raaj koī
dosto vaqt kī zarūrat hai
phir banā.eñ nayā samāj koī
ma.azarat chāhte haiñ milne se
yaad aayā huā hai aaj koī
chup kā taalā lagā ke hoñToñ par
kartā rahtā hai ehtijāj koī
iḳhtiyār is qadar to ho 'fā.ez'
Daal jaa.eñ nayā rivāj koī
kash mil jae ham-mizaj koi
mere gham ka bhi ho ilaj koi
jag kar raat jab guzarni ho
DhunD leta hun kaam-kaj koi
andar aane ka dar to band hua
kaise dil par karega raj koi
dosto waqt ki zarurat hai
phir banaen naya samaj koi
mazarat chahte hain milne se
yaad aaya hua hai aaj koi
chup ka tala laga ke honTon par
karta rahta hai ehtijaj koi
iKHtiyar is qadar to ho 'faez'
Dal jaen naya riwaj koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.