kash samajhte ahl-e-zamana
kash samajhte ahl-e-zamana
Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
MORE BYAbdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
kaash samajhte ahl-e-zamāna
kyā hai haqīqat kyā hai fasāna
ishq kā sheva husn kī fitrat
ek haqīqat ek fasāna
rāh-e-vafā dushvār bahut hai
soch samajh kar paañv baḌhānā
tum na ho jis ke kaun ho us kā
jis ke hue tum us kā zamāna
rahrav-e-rāh-e-ishq-o-mohabbat
jaan to denā lab na hilānā
pahlu-e-gul meñ ḳhaar nihāñ haiñ
gulchīñ apnā haath bachānā
ham ne to 'vasfī' paayā hai un ko
jalva-ba-jalva ḳhāna-ba-ḳhāna
kash samajhte ahl-e-zamana
kya hai haqiqat kya hai fasana
ishq ka shewa husn ki fitrat
ek haqiqat ek fasana
rah-e-wafa dushwar bahut hai
soch samajh kar panw baDhana
tum na ho jis ke kaun ho us ka
jis ke hue tum us ka zamana
rahraw-e-rah-e-ishq-o-mohabbat
jaan to dena lab na hilana
pahlu-e-gul mein KHar nihan hain
gulchin apna hath bachana
hum ne to 'wasfi' paya hai un ko
jalwa-ba-jalwa KHana-ba-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.