Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash sunte wo pur-asar baaten

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

kash sunte wo pur-asar baaten

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    kaash sunte vo pur-asar bāteñ

    dil se jo thiiñ umr-bhar bāteñ

    be-sabab tere lab nahīñ ḳhāmosh

    kar rahī hai tirī nazar bāteñ

    koī samjhā.e aa ke nāseh ko

    sun sake kaun is qadar bāteñ

    us ke afsāne ban ga.e lākhoñ

    maiñ ne jo thiiñ umr-bhar bāteñ

    dam ulaT jā.egā 'azīz' 'azīz'

    rah na ḳhāmosh kuchh to kar bāteñ

    kash sunte wo pur-asar baaten

    dil se jo ki thin umr-bhar baaten

    be-sabab tere lab nahin KHamosh

    kar rahi hai teri nazar baaten

    koi samjhae aa ke naseh ko

    sun sake kaun is qadar baaten

    us ke afsane ban gae lakhon

    main ne jo ki thin umr-bhar baaten

    dam ulaT jaega 'aziz' 'aziz'

    rah na KHamosh kuchh to kar baaten

    Source :
    • Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now