kash us but ko bhi hum waqf-e-tamanna dekhen
kash us but ko bhi hum waqf-e-tamanna dekhen
Urooj Zaidi Badayuni
MORE BYUrooj Zaidi Badayuni
kaash us but ko bhī ham vaqf-e-tamannā dekheñ
barf kī sil se nikaltā huā sho.ala dekheñ
jin ko manzil-talabī meñ ho talāsh-e-rahbar
rahnumā.ī ko mire naqsh-e-kaf-e-pā dekheñ
paañv kī roñdī huī ḳhaak hai apne sar par
ham ne chāhā thā ki aalam tah-o-bālā dekheñ
narm aur garam-nigāhī pe nahīñ apnī nazar
tere hote tirā andāz-e-nazar kyā dekheñ
apnā ġham bhī ġham-e-duniyā ke barābar hai 'urūj'
apnā ġham bhuul sakeñ to ġham-e-duniyā dekheñ
kash us but ko bhi hum waqf-e-tamanna dekhen
barf ki sil se nikalta hua shoala dekhen
jin ko manzil-talabi mein ho talash-e-rahbar
rahnumai ko mere naqsh-e-kaf-e-pa dekhen
panw ki rondi hui KHak hai apne sar par
hum ne chaha tha ki aalam tah-o-baala dekhen
narm aur garam-nigahi pe nahin apni nazar
tere hote tera andaz-e-nazar kya dekhen
apna gham bhi gham-e-duniya ke barabar hai 'uruj'
apna gham bhul saken to gham-e-duniya dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.