Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashana-e-hasti ko zara aur nikhaare

Abdullah Saqib

kashana-e-hasti ko zara aur nikhaare

Abdullah Saqib

MORE BYAbdullah Saqib

    kāshāna-e-hastī ko zarā aur nikhāre

    mehmān rah-e-tūr se pardes sidhāre

    maiñ shāḳh-e-sanobar pe mahak ka mutalāshī

    ai-vā.e bahāre agar iin ast bahāre

    vo chashm-e-sitam-bar zahe qismat kabhī uTThe

    be-dāġhī-e-dāman hai koī daaġh padhāre

    kahne de abhī aur zarā der zarā aur

    ham bāzī-e-ulfat tirī sarkār meñ haare

    sab nā-kas-o-kas jal ga.e az hiddat-e-dil-soz

    ai pīr-e-falak chāñd vale chand sitāre

    maiñ vādī-e-bezār se sab dekh rahā huuñ

    be-ātish-e-idrāk sar-e-tūr sharāre

    kun-gīr-o-azal-gīr-o-abad-gīr hai ye naam

    sau dil hoñ kisū paas so is naam pe haare

    ab pursish-e-ahvāl kisī aur havāle

    maiñ bārgah-e-'ishq se uThne ko huuñ pyāre

    kashana-e-hasti ko zara aur nikhaare

    mehman rah-e-tur se pardes sidhaare

    main shaKH-e-sanobar pe mahak ka mutalashi

    ai-wae bahaare agar in ast bahaare

    wo chashm-e-sitam-bar zahe qismat kabhi uTThe

    be-daghi-e-daman hai koi dagh padhaare

    kahne de abhi aur zara der zara aur

    hum bazi-e-ulfat teri sarkar mein haare

    sab na-kas-o-kas jal gae az hiddat-e-dil-soz

    ai pir-e-falak chand wale chand sitare

    main wadi-e-bezar se sab dekh raha hun

    be-atish-e-idrak sar-e-tur sharare

    kun-gir-o-azal-gir-o-abad-gir hai ye nam

    sau dil hon kisu pas so is nam pe haare

    ab pursish-e-ahwal kisi aur hawale

    main bargah-e-'ishq se uThne ko hun pyare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now