kashif ghazal tumhaari paDhi aaj raat mein
'kāshif' ġhazal tumhārī paḌhī aaj raat meñ
maanā na jiit pā.ūñgī maiñ tum se baat meñ
'kāshif' sanam-parastī nahīñ dīniyāt meñ
ye tum kahāñ se paḌ ga.e lāt-o-manāt meñ
'kāshif' kitāb-e-ishq kā ijrā na yuuñ karo
yuuñ vaqt na gañvāyā karo vāhiyāt meñ
'kāshif' hamāre pyaar meñ kyā kyā nahīñ huā
lekin tumhārī fat.h rahī merī maat meñ
'kāshif' tumhārā ishq hī me.arāj hai mirī
sab āsmān Thahre tumhārī hī zaat meñ
'kāshif' yaqīn hai mujhe īmān hai mirā
tum sā na mil sakegā mujhe kā.enāt meñ
'kashif' ghazal tumhaari paDhi aaj raat mein
mana na jit paungi main tum se baat mein
'kashif' sanam-parasti nahin diniyat mein
ye tum kahan se paD gae lat-o-manat mein
'kashif' kitab-e-ishq ka ijra na yun karo
yun waqt na ganwaya karo wahiyat mein
'kashif' hamare pyar mein kya kya nahin hua
lekin tumhaari fath rahi meri mat mein
'kashif' tumhaara ishq hi mearaj hai meri
sab aasman Thahre tumhaari hi zat mein
'kashif' yaqin hai mujhe iman hai mera
tum sa na mil sakega mujhe kaenat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.