kaT gai kohre ki chadar sard hawa ki tezi map
kaaT ga.ī kohre kī chādar sard havā kī tezī maap
ukḌūñ baiThā is vaadī kī tanhā.ī meñ thar-thar kaañp
marmar kī ūñchā.ī chaḌhte phislā hai to ronā kyā
paañv pasāre kīchaḌ meñ ukhḌī sāñsoñ kī maalā jaap
uḌte panchhī pyāsī nazroñ kī pahchān se aarī haiñ
tez huī jaatī haiñ kirneñ thaap sahelī gobar thaap
phūTī chūḌī TuuTī dhanak rañgoñ kā sehr bikhartā sā
suune ufuq par bahte bādal garm tave se uThtī bhaap
bāñsoñ ke jañgal kī chilman husn jhalaktā manzil kā
baḌhte hue qadmoñ kī taak meñ sūkhe hue pattoñ par saañp
garm-e-safar hai garm-e-safar rah muḌ muḌ kar mat pīchhe dekh
ek do manzil saath chalegī paTke hue qadmoñ kī chaap
jhuum rahī hai bhañvar meñ kashtī sāhil-o-tūfāñ raqs meñ haiñ
thakī huī āñkheñ so jaa.eñ aisā koī raag alaap
dekh phaphūñd lagī dīvāreñ majlis bhī ban saktī haiñ
tūfānī mausam hai 'shafīq' ab aur kahīñ kā rasta naap
kaT gai kohre ki chadar sard hawa ki tezi map
ukDun baiTha is wadi ki tanhai mein thar-thar kanp
marmar ki unchai chaDhte phisla hai to rona kya
panw pasare kichaD mein ukhDi sanson ki mala jap
uDte panchhi pyasi nazron ki pahchan se aari hain
tez hui jati hain kirnen thap saheli gobar thap
phuTi chuDi TuTi dhanak rangon ka sehr bikharta sa
sune ufuq par bahte baadal garm tawe se uThti bhap
banson ke jangal ki chilman husn jhalakta manzil ka
baDhte hue qadmon ki tak mein sukhe hue patton par sanp
garm-e-safar hai garm-e-safar rah muD muD kar mat pichhe dekh
ek do manzil sath chalegi paTke hue qadmon ki chap
jhum rahi hai bhanwar mein kashti sahil-o-tufan raqs mein hain
thaki hui aankhen so jaen aisa koi rag alap
dekh phaphund lagi diwaren majlis bhi ban sakti hain
tufani mausam hai 'shafiq' ab aur kahin ka rasta nap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.