kaTa safar to humne baDi hi lagan ke sath
kaaTā safar to ham ne baḌī hī lagan ke saath
manzil pe jā ke baiThe to baiThe thakan ke saath
go shahr-e-ajnabī meñ koī āshnā na thā
lekin milā jo shaḳhs milā apne-pan ke saath
koī libās qīmtī pahne nahīñ gayā
jo bhī gayā gayā hai vo kore kafan ke saath
irfān-e-zāt kī taraf karte nahīñ rujūa
ham aur saare kaam haiñ karte jatan ke saath
khul kar na saañs lī na koī baat kar sake
duniyā meñ ham ko jiinā paḌā hai ghuTan ke saath
jab bolte haiñ aap to jhaḌte haiñ muñh se phuul
rahte haiñ aap kyā kisī ġhuncha-dahan ke saath
'rānā' ḳhush-āmdīd kyoñ un ko na maiñ kahūñ
merā to dostāna hai ranj-o-mehan ke saath
kaTa safar to hum ne baDi hi lagan ke sath
manzil pe ja ke baiThe to baiThe thakan ke sath
go shahr-e-ajnabi mein koi aashna na tha
lekin mila jo shaKHs mila apne-pan ke sath
koi libas qimti pahne nahin gaya
jo bhi gaya gaya hai wo kore kafan ke sath
irfan-e-zat ki taraf karte nahin rujua
hum aur sare kaam hain karte jatan ke sath
khul kar na sans li na koi baat kar sake
duniya mein hum ko jina paDa hai ghuTan ke sath
jab bolte hain aap to jhaDte hain munh se phul
rahte hain aap kya kisi ghuncha-dahan ke sath
'rana' KHush-amdid kyon un ko na main kahun
mera to dostana hai ranj-o-mehan ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.