kaTh ki laDkiyan bana li hain
kaaTh kī laḌkiyāñ banā lī haiñ
maiñ ne kaTh-putliyāñ banā lī haiñ
naam us kā likhā hai kāġhaz par
kārgar uñgliyāñ banā lī haiñ
āñdhiyo tum gunāh kar Daalo
phuus kī jhuggiyāñ banā lī haiñ
in ko mere nasīb meñ likh do
chāñd sī roTiyāñ banā lī haiñ
nayyar to laao badliyo jā kar
taal meñ machhliyāñ banā lī haiñ
ghar meñ taaza havā.eñ ā.eñgī
zehan meñ khiḌkiyāñ banā lī haiñ
ab ḳhizāñ ko salām bhejūñgā
shāḳhoñ par pattiyāñ banā lī haiñ
merī bātoñ meñ kuchh asar de do
hoñToñ par surḳhiyāñ banā lī haiñ
dil ko bahlā rahā huuñ 'sājid'-jī
mom kī titliyāñ banā lī haiñ
kaTh ki laDkiyan bana li hain
main ne kaTh-putliyan bana li hain
nam us ka likha hai kaghaz par
kargar ungliyan bana li hain
aandhiyo tum gunah kar Dalo
phus ki jhuggiyan bana li hain
in ko mere nasib mein likh do
chand si roTiyan bana li hain
nayyar to lao badliyo ja kar
tal mein machhliyan bana li hain
ghar mein taza hawaen aaengi
zehan mein khiDkiyan bana li hain
ab KHizan ko salam bhejunga
shaKHon par pattiyan bana li hain
meri baaton mein kuchh asar de do
honTon par surKHiyan bana li hain
dil ko bahla raha hun 'sajid'-ji
mom ki titliyan bana li hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.