Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaTi hai umr subh-e-tamanna ke KHwab mein

Kamal Lakhnavi

kaTi hai umr subh-e-tamanna ke KHwab mein

Kamal Lakhnavi

MORE BYKamal Lakhnavi

    kaaTī hai umr sub.h-e-tamannā ke ḳhvāb meñ

    rāteñ basar huī haiñ magar iztirāb meñ

    jalvoñ vo taḌap hai aalam naqāb meñ

    jaise ki barq kauñd rahī ho sahāb meñ

    qurbān jā.iye sitam-e-rozgār ke

    vo dekhnā paḌā jo na dekhā thā ḳhvāb meñ

    kab tak raheñgī shām-e-alam navāzisheñ

    tāroñ se pūchhnā hai sahar ke javāb meñ

    kyoñ aaj hādsāt ke uThte nahīñ qadam

    ye kaun aa gayā hai rah-e-inqalāb meñ

    haañ aap se raunaq-e-bazm-e-ḳhayāl hai

    haañ aap ko ham ne pukārā thā ḳhvāb meñ

    biite dinoñ yaad bhulāne ke vāste

    piinā paḌā hai ḳhūn-e-tamannā sharāb meñ

    larzāñ thā kā.enāt dil jin se ai 'kamāl'

    vo dhaḌkaneñ likhī ga.iiñ mere hisāb meñ

    kaTi hai umr subh-e-tamanna ke KHwab mein

    raaten basar hui hain magar iztirab mein

    jalwon ki wo taDap ka hai aalam naqab mein

    jaise ki barq kaund rahi ho sahab mein

    qurban jaiye sitam-e-rozgar ke

    wo dekhna paDa jo na dekha tha KHwab mein

    kab tak rahengi sham-e-alam ki nawazishen

    taron se puchhna hai sahar ke jawab mein

    kyon aaj hadsat ke uThte nahin qadam

    ye kaun aa gaya hai rah-e-inqalab mein

    han aap hi se raunaq-e-bazm-e-KHayal hai

    han aap hi ko hum ne pukara tha KHwab mein

    bite dinon ki yaad bhulane ke waste

    pina paDa hai KHun-e-tamanna sharab mein

    larzan tha kaenat ka dil jin se ai 'kamal'

    wo dhaDkanen likhi gain mere hisab mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now