kaTna saKHt-tar hai magar kaTiye
kāTnā saḳht-tar hai magar kāTiye
chain se zindagī kā safar kāTiye
dushmanoñ tak rasā.ī nahīñ aap kī
sirf apne azīzoñ ke sar kāTiye
hai baserā parindoñ kā har shāḳh par
soch kar jangaloñ ke shajar kāTiye
umr bhar narm bahtī nadī kī tarah
pyaar se pattharoñ kā jigar kāTiye
ham faqīroñ kā hai ye muqaddar 'ziyā'
umr-bhar zindagī dar-ba-dar kāTiye
kaTna saKHt-tar hai magar kaTiye
chain se zindagi ka safar kaTiye
dushmanon tak rasai nahin aap ki
sirf apne azizon ke sar kaTiye
hai basera parindon ka har shaKH par
soch kar jangalon ke shajar kaTiye
umr bhar narm bahti nadi ki tarah
pyar se pattharon ka jigar kaTiye
hum faqiron ka hai ye muqaddar 'ziya'
umr-bhar zindagi dar-ba-dar kaTiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.