kawish-e-na-motabar ko moatabar karne lage
kāvish-e-nā-mo'tabar ko mo'atabar karne lage
log apnī zaat ke andar safar karne lage
vālihāna tarz āshufta-sarī ke bāvajūd
merī vahshat par nazar shorīda-sar karne lage
raushnī itnī ki āñkhoñ meñ añdherā chhā gayā
irtiqā aisā ki fāqoñ par basar karne lage
ik zarā jis ne shu.ūr-e-zindagī paayā ki bas
hādsāt-e-ġham use zer-o-zabar karne lage
ham zamīñ ko bhī 'ziyā' mahsūr kar sakte nahīñ
jab ki aaj insāñ ḳhalāoñ meñ safar karne lage
kawish-e-na-mo'tabar ko mo'atabar karne lage
log apni zat ke andar safar karne lage
walihana tarz aashufta-sari ke bawajud
meri wahshat par nazar shorida-sar karne lage
raushni itni ki aankhon mein andhera chha gaya
irtiqa aisa ki faqon par basar karne lage
ek zara jis ne shuur-e-zindagi paya ki bas
hadsat-e-gham use zer-o-zabar karne lage
hum zamin ko bhi 'ziya' mahsur kar sakte nahin
jab ki aaj insan KHalaon mein safar karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.