kawish-e-rozgar ne umr-e-rawan ko kha liya
kāvish-e-rozgār ne umr-e-ravāñ ko khā liyā
dasht-e-sukūt ne mire zamzama-ḳhvāñ ko khā liyā
haa.e vo sub.h-e-bebasī haa.e vo shām-e-be-kasī
sā.at-e-bad ne is dafa āzurdagāñ ko khā liyā
tazkire rah ga.e faqat vo bhī haiñ kitnī der tak
tū ne sukūt-e-bekarāñ harf-o-bayāñ ko khā liyā
kāsa-e-vaqt meñ koī sikka-e-roz-o-shab kahāñ
bād-e-fanā ne ḳhatra-e-sūd-o-ziyāñ ko khā liyā
hastī-e-ḳhush-gumāñ sañbhal soch-samajh ke chaal chal
ālam-e-nīst ne har ik nām-o-nishāñ ko khā liyā
ḳhema-e-vasl jal ga.e ham-rahī rah badal ga.e
aur shab-e-firāq ne qalb-e-tapāñ ko khā liyā
kawish-e-rozgar ne umr-e-rawan ko kha liya
dasht-e-sukut ne mere zamzama-KHwan ko kha liya
hae wo subh-e-bebasi hae wo sham-e-be-kasi
saat-e-bad ne is dafa aazurdagan ko kha liya
tazkire rah gae faqat wo bhi hain kitni der tak
tu ne sukut-e-bekaran harf-o-bayan ko kha liya
kasa-e-waqt mein koi sikka-e-roz-o-shab kahan
baad-e-fana ne KHatra-e-sud-o-ziyan ko kha liya
hasti-e-KHush-guman sanbhal soch-samajh ke chaal chal
aalam-e-nist ne har ek nam-o-nishan ko kha liya
KHema-e-wasl jal gae ham-rahi rah badal gae
aur shab-e-firaq ne qalb-e-tapan ko kha liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.