kab aaega wo shahzada tauba hai
kab aa.egā vo shahzāda tauba hai
khol ke baiThī huuñ darvāza tauba hai
ab tujh se milne kī ḳhātir sajtī huuñ
naak meñ motī muñh par ġhāza tauba hai
chaa.e mere haath se girne vaalī thī
us ne is andāz se ghūrā tauba hai
hoñToñ par vo āñkheñ jaise Thahrī haiñ
titlī par ik bhañvrā chhoḌā tauba hai
sharm se paanī ho jaane ko chāhe jī
juḌ kar mere saath hai baiThā tauba hai
aks usī kā mujh ko dikhne lagtā hai
jab bhī taktī huuñ ā.īna tauba hai
yuuñ hī bartan mez pe ab tak rakhe haiñ
ġhusse meñ kyoñ nāshta chhoḌā tauba hai
is par kaalā asmānī aur peach color
jachtā hai har rañg kā joḌā tauba hai
chūḌī toḌe chuTkī kaaTe chhup jaa.e
merī us dildār se tauba tauba hai
kab aaega wo shahzada tauba hai
khol ke baiThi hun darwaza tauba hai
ab tujh se milne ki KHatir sajti hun
nak mein moti munh par ghaza tauba hai
chae mere hath se girne wali thi
us ne is andaz se ghura tauba hai
honTon par wo aankhen jaise Thahri hain
titli par ek bhanwra chhoDa tauba hai
sharm se pani ho jaane ko chahe ji
juD kar mere sath hai baiTha tauba hai
aks usi ka mujh ko dikhne lagta hai
jab bhi takti hun aaina tauba hai
yun hi bartan mez pe ab tak rakhe hain
ghusse mein kyon nashta chhoDa tauba hai
is par kala asmani aur peach color
jachta hai har rang ka joDa tauba hai
chuDi toDe chuTki kaTe chhup jae
meri us dildar se tauba tauba hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.