Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab ahd wafa hoga ai jaan-e-wafa jaanan

Sarfaraz Syed

kab ahd wafa hoga ai jaan-e-wafa jaanan

Sarfaraz Syed

MORE BYSarfaraz Syed

    kab ahd vafā hogā ai jān-e-vafā jānāñ

    kab barsegī shānoñ pe zulfoñ ghaTā jānāñ

    ummīd ke zindāñ se kab ḳhvāb rihā hoñge

    utregā ḳhalāoñ se kab rizq-e-baqā jānāñ

    miTTī mirī dhartī ke rangoñ ko tarastī hai

    ubhregā hathelī pe kab rang-e-hinā jānāñ

    ik ahd-e-sitam kal thā ik ahd-e-sitam ab hai

    koī dast-e-shifā jānāñ koī dast-e-duā jānāñ

    sab kuchh yūñhī honā thā hālāt aise the

    kuchh niiñd mausam thā kuchh tum bhī ḳhafā jānāñ

    kab ahd wafa hoga ai jaan-e-wafa jaanan

    kab barsegi shanon pe zulfon ki ghaTa jaanan

    ummid ke zindan se kab KHwab riha honge

    utrega KHalaon se kab rizq-e-baqa jaanan

    miTTi meri dharti ke rangon ko tarasti hai

    ubhrega hatheli pe kab rang-e-hina jaanan

    ek ahd-e-sitam kal tha ek ahd-e-sitam ab hai

    koi dast-e-shifa jaanan koi dast-e-dua jaanan

    sab kuchh yunhi hona tha haalat hi aise the

    kuchh nind ka mausam tha kuchh tum bhi KHafa jaanan

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now