kab baat ho baghair KHushamad wahan durust
kab baat ho baġhair ḳhushāmad vahāñ durust
vo nā-durust bhī jo kaheñ kahiye haañ durust
thoḌe se din bahār ke haiñ kis umiid par
karte haiñ apne murġh-e-chaman āshiyāñ durust
kuchh maiñ bhī apnā hāl-e-tabī.at bayāñ karūñ
gar ho mizāj aap kā ai mehrbāñ durust
us ko durustī-e-dil-e-āshiq se kyā ġharaz
jis bad-zabān kī nahīñ ab tak zabāñ durust
āñkhoñ meñ rah ki dil meñ Thahar tere vāste
ārāsta har ek makāñ har makāñ durust
har roz tāziyāna-e-zulf-e-darāz se
tū ne bhī dil ko ḳhuub kiyā merī jaañ durust
aatā hai sāmne jo vo ġhārat-gar-e-shakeb
ausān 'dāġh' rahte haiñ apne kahāñ durust
kab baat ho baghair KHushamad wahan durust
wo na-durust bhi jo kahen kahiye han durust
thoDe se din bahaar ke hain kis umid par
karte hain apne murgh-e-chaman aashiyan durust
kuchh main bhi apna haal-e-tabiat bayan karun
gar ho mizaj aap ka ai mehrban durust
us ko durusti-e-dil-e-ashiq se kya gharaz
jis bad-zaban ki nahin ab tak zaban durust
aankhon mein rah ki dil mein Thahar tere waste
aarasta har ek makan har makan durust
har roz taziyana-e-zulf-e-daraaz se
tu ne bhi dil ko KHub kiya meri jaan durust
aata hai samne jo wo ghaarat-gar-e-shakeb
ausan 'dagh' rahte hain apne kahan durust
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.