Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab dil ke zaKHm chaaragaron se rafu hue

Irfana Azeez

kab dil ke zaKHm chaaragaron se rafu hue

Irfana Azeez

MORE BYIrfana Azeez

    kab dil ke zaḳhm chāragaroñ se rafū hue

    jo haath dil samt baḌhe sab lahū hue

    shikve hue ki jaur hue sab hue tamām

    vo husn-e-ittifāq se jab rū-ba-rū hue

    jis ke sabab har ek suḳhan-fahm hai ḳhafā

    muddat huī hai aap se vo guftugū hue

    kiije talāsh tark-e-tamannā sūrateñ

    guzrā hai ik zamāna jigar ko lahū hue

    shorish hai ek mauj-e-talātum tham ga.ī

    shorīda-sar zamāne jab aabrū hue

    nikle jo manziloñ tamannā meñ kho ga.e

    jo sañg-e-dar pe tere jhuke suraḳh-rū hue

    kab dil ke zaKHm chaaragaron se rafu hue

    jo hath dil ki samt baDhe sab lahu hue

    shikwe hue ki jaur hue sab hue tamam

    wo husn-e-ittifaq se jab ru-ba-ru hue

    jis ke sabab har ek suKHan-fahm hai KHafa

    muddat hui hai aap se wo guftugu hue

    kije talash tark-e-tamanna ki suraten

    guzra hai ek zamana jigar ko lahu hue

    shorish hai ek mauj-e-talatum ki tham gai

    shorida-sar zamane ki jab aabru hue

    nikle jo manzilon ki tamanna mein kho gae

    jo sang-e-dar pe tere jhuke suraKH-ru hue

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 527)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now