kab faraghat thi gham-e-subh-o-masa se mujhko
kab farāġhat thī ġham-e-sub.h-o-masā se mujh ko
roz o shab kaam rahā āh-o-bukā se mujh ko
pās-e-ḳhātir se na dushman ke sitam kar mujh par
khelnā aatā hai ai dost qazā se mujh ko
haa.e 'ālam shab-e-furqat mirī māyūsī kā
detī hai maut kī ummīd dilāse mujh ko
thā tirī fitna-ḳhirāmī se 'ayāñ dil kā ma.aal
bū-e-ḳhūñ aatī hai naqsh-e-kaf-e-pā se mujh ko
ai 'vafā' mausam-e-vahshat bhī hai kyā mausam-e-gul
kyuuñ bachāte haiñ gulistāñ kī havā se mujh ko
kab faraghat thi gham-e-subh-o-masa se mujh ko
roz o shab kaam raha aah-o-buka se mujh ko
pas-e-KHatir se na dushman ke sitam kar mujh par
khelna aata hai ai dost qaza se mujh ko
hae 'alam shab-e-furqat meri mayusi ka
deti hai maut ki ummid dilase mujh ko
tha teri fitna-KHirami se 'ayan dil ka maal
bu-e-KHun aati hai naqsh-e-kaf-e-pa se mujh ko
ai 'wafa' mausam-e-wahshat bhi hai kya mausam-e-gul
kyun bachate hain gulistan ki hawa se mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.