kab gharibon ko ujalon ki KHabar hoti hai
kab ġharīboñ ko ujāloñ kī ḳhabar hotī hai
zindagī un kī añdheroñ meñ basar hotī hai
husn ko chhūtī haiñ jab sub.h kī zarrīñ kirneñ
fitratan sub.h vo rangīn sahar hotī hai
zindagī jin kī tire 'ishq meñ hotī hai basar
unheñ duniyā kī na 'uqbā kī ḳhabar hotī hai
kabhī nāsāzī-e-māhaul ko ḳhātir meñ na lā
raat ke parde meñ malbūs sahar hotī hai
ġham-o-'ishrat kā muraqqa' hai ye duniyā ai 'charḳh'
kabhī kāñToñ kabhī phūloñ pe basar hotī hai
kab gharibon ko ujalon ki KHabar hoti hai
zindagi un ki andheron mein basar hoti hai
husn ko chhuti hain jab subh ki zarrin kirnen
fitratan subh wo rangin sahar hoti hai
zindagi jin ki tere 'ishq mein hoti hai basar
unhen duniya ki na 'uqba ki KHabar hoti hai
kabhi nasazi-e-mahaul ko KHatir mein na la
raat ke parde mein malbus sahar hoti hai
gham-o-'ishrat ka muraqqa' hai ye duniya ai 'charKH'
kabhi kanTon kabhi phulon pe basar hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.