kab gul hai hawa-KHwah saba apne chaman ka
kab gul hai havā-ḳhvāh sabā apne chaman kā
vā jumbish-e-dam se hai rafū zaḳhm-e-kuhan kā
betābi-e-dil tere shahīdoñ kī kahāñ jaa.e
kuchh kam rag-e-bismil se nahīñ taar kafan kā
detā hai phir ā.īne ko kis vāste bosa
vo aap jo dil-dāda nahīñ apne dahan kā
mānind-e-habāb aap kiyā ishq ne 'mamnūñ'
paayā na nishāñ jaama meñ apne kahīñ tan kā
kab gul hai hawa-KHwah saba apne chaman ka
wa jumbish-e-dam se hai rafu zaKHm-e-kuhan ka
betabi-e-dil tere shahidon ki kahan jae
kuchh kam rag-e-bismil se nahin tar kafan ka
deta hai phir aaine ko kis waste bosa
wo aap jo dil-dada nahin apne dahan ka
manind-e-habab aap kiya ishq ne 'mamnun'
paya na nishan jama mein apne kahin tan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.