kab humne kaha hai ki sada sochte rahna
kab ham ne kahā hai ki sadā sochte rahnā
haañ yaad jab aa.eñ to zarā sochte rahnā
lamhoñ meñ badal jaatī hai taqdīr-e-zamāna
is baat ko ai mard-e-ḳhudā sochte rahnā
is tarah guzāre haiñ shab-e-hijr ke lamhāt
us shaḳhs kī ik ek adā sochte rahnā
kis ahd meñ bhejā gayā ye soch rahā huuñ
jis ahd meñ har dam hai sazā sochte rahnā
ye bhī na kahīñ us se ta.alluq kā sabab ho
kyoñ us ne kahā kaise kahā sochte rahnā
'vāsil' tujhe jo kahnā hai bas aaj hī kah le
achchhā nahīñ tā-umr tirā sochte rahnā
kab hum ne kaha hai ki sada sochte rahna
han yaad jab aaen to zara sochte rahna
lamhon mein badal jati hai taqdir-e-zamana
is baat ko ai mard-e-KHuda sochte rahna
is tarah guzare hain shab-e-hijr ke lamhat
us shaKHs ki ek ek ada sochte rahna
kis ahd mein bheja gaya ye soch raha hun
jis ahd mein har dam hai saza sochte rahna
ye bhi na kahin us se talluq ka sabab ho
kyon us ne kaha kaise kaha sochte rahna
'wasil' tujhe jo kahna hai bas aaj hi kah le
achchha nahin ta-umr tera sochte rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.