kab hamein KHud pe eatibar aaya
kab hameñ ḳhud pe e.atibār aayā
bas tire naam se qarār aayā
zamzama-ḳhvāñ jo tere husn kā thā
mujh ko us par bhī kaisā pyaar aayā
kaisā ḳhuuñ rāstoñ meñ bahtā hai
kaisī bastī hai kyā dayār aayā
us ke va.ade to sirf va.ade the
phir bhī har baar e.atibār aayā
kab hamein KHud pe eatibar aaya
bas tere nam se qarar aaya
zamzama-KHwan jo tere husn ka tha
mujh ko us par bhi kaisa pyar aaya
kaisa KHun raston mein bahta hai
kaisi basti hai kya dayar aaya
us ke wade to sirf wade the
phir bhi har bar eatibar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.