kab haqiqat wo bhala duniya mein jam-e-jam ki hai
kab haqiqat wo bhala duniya mein jam-e-jam ki hai
Muzammil Abbas Shajar
MORE BYMuzammil Abbas Shajar
kab haqīqat vo bhalā duniyā meñ jām-e-jam kī hai
jo tumhāre mai-kade meñ merī chashm-e-nam kī hai
maiñ kisī ke lams kī tāsīr ḳhud meñ bhar to luuñ
aabrū lekin mujhe pyārī tumhāre ġham kī hai
zulf kā har pech uljhāv meñ Daale hai magar
asal meñ jādūgarī terī kamar ke ḳham kī hai
dekh lete haiñ to baḌhtī hai talab kuchh aur bhī
go kahānī sāmne kī zaḳhm par marham kī hai
ḳhaak meñ paanī milā kar aag par hai rakh diyā
ab mujassam ko zarūrat tujh havā ke dam kī hai
ruḳh pe āñchal kis liye ye ajnabī lahja hai kyoñ
sarsarāhaT ye yaqīnan hijr ke parcham kī hai
chal na pā.eñge kisī ke vasvase mujh par 'shajar'
paḌh kar us ke naam kī tasbīh ḳhud pe dam kī hai
kab haqiqat wo bhala duniya mein jam-e-jam ki hai
jo tumhaare mai-kade mein meri chashm-e-nam ki hai
main kisi ke lams ki tasir KHud mein bhar to lun
aabru lekin mujhe pyari tumhaare gham ki hai
zulf ka har pech uljhaw mein Dale hai magar
asal mein jadugari teri kamar ke KHam ki hai
dekh lete hain to baDhti hai talab kuchh aur bhi
go kahani samne ki zaKHm par marham ki hai
KHak mein pani mila kar aag par hai rakh diya
ab mujassam ko zarurat tujh hawa ke dam ki hai
ruKH pe aanchal kis liye ye ajnabi lahja hai kyon
sarsarahaT ye yaqinan hijr ke parcham ki hai
chal na paenge kisi ke waswase mujh par 'shajar'
paDh kar us ke nam ki tasbih KHud pe dam ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.