kab hawas-karon ne duniya ke dahane dekhe
kab havas-kāroñ ne duniyā ke dahāne dekhe
Dūbne ke jo the duniyā meñ Thikāne dekhe
apne ḳhalvat-kada-e-ġham meñ rahe ahl-e-hijāb
be-hijābī ne to mahshar ke zamāne dekhe
surḳhiyāñ jin kī haiñ markūz nigāh-e-ālam
tum ne vo qisse paḌhe haiñ jo fasāne dekhe
ek halkā sā bhī partav nazar aayā na tirā
yuuñ to ham ne bhī ka.ī ā.ina-ḳhāne dekhe
duur jab haqq-o-sadāqat se hue ahl-e-ḳhirad
har-nafas apnī tabāhī ke Thikāne dekhe
aaj tak un kī haqīqat na khulī ham pe 'nashāt'
ḳhvāb hī rah ga.e jo ḳhvāb suhāne dekhe
kab hawas-karon ne duniya ke dahane dekhe
Dubne ke jo the duniya mein Thikane dekhe
apne KHalwat-kada-e-gham mein rahe ahl-e-hijab
be-hijabi ne to mahshar ke zamane dekhe
surKHiyan jin ki hain markuz nigah-e-alam
tum ne wo qisse paDhe hain jo fasane dekhe
ek halka sa bhi partaw nazar aaya na tera
yun to hum ne bhi kai aaina-KHane dekhe
dur jab haqq-o-sadaqat se hue ahl-e-KHirad
har-nafas apni tabahi ke Thikane dekhe
aaj tak un ki haqiqat na khuli hum pe 'nashat'
KHwab hi rah gae jo KHwab suhane dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.