kab hui KHatm raat yaad nahin
kab huī ḳhatm raat yaad nahīñ
kyā huī un se baat yaad nahīñ
kab luTā kārvāñ sitāroñ kā
kab luTī kā.enāt yaad nahīñ
kaise guzre vo be-ḳhabar lamhe
kaise guzrī hayāt yaad nahīñ
kis ne jiitī hai ishq kī baazī
kis ne khaa.ī hai maat yaad nahīñ
vo khulī zulf vo khulī bāheñ
qaid thī yā najāt yaad nahīñ
vo mirā jashn-e-nā-murādī thā
yā kisī kī barāt yaad nahīñ
kab mile the kahāñ mile the vo
'faiz' itnī sī baat yaad nahīñ
kab hui KHatm raat yaad nahin
kya hui un se baat yaad nahin
kab luTa karwan sitaron ka
kab luTi kaenat yaad nahin
kaise guzre wo be-KHabar lamhe
kaise guzri hayat yaad nahin
kis ne jiti hai ishq ki bazi
kis ne khai hai mat yaad nahin
wo khuli zulf wo khuli bahen
qaid thi ya najat yaad nahin
wo mera jashn-e-na-muradi tha
ya kisi ki baraat yaad nahin
kab mile the kahan mile the wo
'faiz' itni si baat yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.