Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab ishq mein yaron ki pazirai hui hai

Anees Ashfaq

kab ishq mein yaron ki pazirai hui hai

Anees Ashfaq

kab ishq meñ yāroñ pazīrā.ī huī hai

har kohkan o qais rusvā.ī huī hai

is koh ko maiñ ne tarāshā hai mirī jaan

tujh tak ye jū-e-shīr mirī laa.ī huī hai

is shahr meñ kyā chāñd chamaktā huā dekheñ

is shahr meñ har shakl to gahnā.ī huī hai

vo ishq zanjīr jo kaaTe nahīñ kaTtī

pairoñ meñ vo terī to pahnā.ī huī hai

ye taḳht-e-sabā ḳhil.at-e-gul kursi-e-mahtāb

sab tere liye anjuman-ārā.ī huī hai

jo tere ḳhazāne ke liye lauh-e-sharaf hai

vo mohr-e-javāhar mirī Thukrā.ī huī hai

shohra hai bahut jis tilāvat chaman meñ

vo āyat-e-gul merī paḌhvā.ī huī hai

thī jo na kisī shāna-e-yūsuf talabgār

vo zulf-e-zuleḳhā mirī saudā.ī huī hai

dekhā hai kisī āhū-e-ḳhush-chashm ko us ne

āñkhoñ meñ bahut us chamak aa.ī huī hai

kab ishq mein yaron ki pazirai hui hai

har kohkan o qais ki ruswai hui hai

is koh ko main ne hi tarasha hai meri jaan

tujh tak ye ju-e-shir meri lai hui hai

is shahr mein kya chand chamakta hua dekhen

is shahr mein har shakl to gahnai hui hai

wo ishq ki zanjir jo kaTe nahin kaTti

pairon mein wo teri hi to pahnai hui hai

ye taKHt-e-saba KHilat-e-gul kursi-e-mahtab

sab tere liye anjuman-arai hui hai

jo tere KHazane ke liye lauh-e-sharaf hai

wo mohr-e-jawahar meri Thukrai hui hai

shohra hai bahut jis ki tilawat ka chaman mein

wo aayat-e-gul meri hi paDhwai hui hai

thi jo na kisi shana-e-yusuf ki talabgar

wo zulf-e-zuleKHa meri saudai hui hai

dekha hai kisi aahu-e-KHush-chashm ko us ne

aankhon mein bahut us ki chamak aai hui hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Anees Ashfaq

Anees Ashfaq

RECITATIONS

Anees Ashfaq

Anees Ashfaq,

00:00/00:00
Anees Ashfaq

kab ishq mein yaron ki pazirai hui hai Anees Ashfaq

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now