kab ka guzar chuka hai wo mausam shabab ka
kab kā guzar chukā hai vo mausam shabāb kā
ab zikr hai fuzūl vafā kī kitāb kā
fursat mile to dekh zarā dil kā aa.ina
is meñ hai aks tere gunāh-o-savāb kā
chup-chāp hāl-e-ahl-e-nazar dekhte raho
hai kis ke paas vaqt savāl-o-javāb kā
har shaḳhs ghir gayā hai na.e iztirāb meñ
toḌā hai jis ne qufl dar-e-iztirāb kā
rakhtā hai tere rū-e-hasīñ se mushābahat
har shāḳh par sajā hai jo chehra gulāb kā
kaafī hai us kī zaat ke irfān ke liye
mauj-e-havā ke dosh pe uḌnā sahāb kā
'shāhid' jinheñ ḳhabar hai rumūz-hayāt kī
rakhte nahīñ hisāb ġham-e-be-hisāb kā
kab ka guzar chuka hai wo mausam shabab ka
ab zikr hai fuzul wafa ki kitab ka
fursat mile to dekh zara dil ka aaina
is mein hai aks tere gunah-o-sawab ka
chup-chap haal-e-ahl-e-nazar dekhte raho
hai kis ke pas waqt sawal-o-jawab ka
har shaKHs ghir gaya hai nae iztirab mein
toDa hai jis ne qufl dar-e-iztirab ka
rakhta hai tere ru-e-hasin se mushabahat
har shaKH par saja hai jo chehra gulab ka
kafi hai us ki zat ke irfan ke liye
mauj-e-hawa ke dosh pe uDna sahab ka
'shahid' jinhen KHabar hai rumuz-hayat ki
rakhte nahin hisab gham-e-be-hisab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.