kab kaha maine ki tum chahne walon mein raho
kab kahā maiñ ne ki tum chāhne vāloñ meñ raho
tum ġhazal ho to ġhazal ban ke ḳhayāloñ meñ raho
husn aisā hai tumhārā ki nahīñ jis kā javāb
is liye jān-e-vafā tum to savāloñ meñ raho
chhup gayā chāñd añdherā hai bharī mahfil meñ
tum mire dil meñ utar jaao ujāloñ meñ raho
apnī ḳhushbū ko fazāoñ meñ bikhar jaane do
phuul ban jaao mahakte hue bāloñ meñ raho
aane jaane kī kahīñ tum ko zarūrat kyā hai
shahr-e-ḳhūbāñ meñ raho mast ġhazāloñ meñ raho
umr-bhar ke liye ho jaao kisī ke 'aḳhtar'
ishq aisā karo duniyā kī misāloñ meñ raho
kab kaha main ne ki tum chahne walon mein raho
tum ghazal ho to ghazal ban ke KHayalon mein raho
husn aisa hai tumhaara ki nahin jis ka jawab
is liye jaan-e-wafa tum to sawalon mein raho
chhup gaya chand andhera hai bhari mahfil mein
tum mere dil mein utar jao ujalon mein raho
apni KHushbu ko fazaon mein bikhar jaane do
phul ban jao mahakte hue baalon mein raho
aane jaane ki kahin tum ko zarurat kya hai
shahr-e-KHuban mein raho mast ghazalon mein raho
umr-bhar ke liye ho jao kisi ke 'aKHtar'
ishq aisa karo duniya ki misalon mein raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.