kab KHala mein suraj ki Dhaye se sham hoti hai
kab ḳhalā meñ sūraj kī Dhaye se shaam hotī hai
bad-du'ā sī bad-sūrat shai se shaam hotī hai
āftāb jab thak ke hauz se nikaltā hai
tab sarāb-zādoñ kī nai se shaam hotī hai
ghoñsle bulāte haiñ panchhiyoñ ko peḌoñ meñ
jab fazā meñ chīloñ kī qai se shaam hotī hai
kaun dekh paatā hai raat kī siyāhkārī
din ko hosh aatā hai mai se shaam hotī hai
raushnī kī saḌkoñ par ḳhauf gungunātā hai
sar se raat aatī hai lai se shaam hotī hai
maiñ pakaḌ ke rakhtā huuñ tīrgī ko āñkhoñ meñ
kuchh samajh nahīñ aatā kaise shaam hotī hai
mere asr kā sūraj bād-e-asr ugtā hai
phir siyāhī ke haq meñ jaise shaam hotī hai
gate khaTkhaTātā huuñ jab bhī der se 'asvad'
us ko raat lagtī hai vaise shaam hotī hai
kab KHala mein suraj ki Dhaye se sham hoti hai
bad-du'a si bad-surat shai se sham hoti hai
aaftab jab thak ke hauz se nikalta hai
tab sarab-zadon ki nai se sham hoti hai
ghonsle bulate hain panchhiyon ko peDon mein
jab faza mein chilon ki qai se sham hoti hai
kaun dekh pata hai raat ki siyahkari
din ko hosh aata hai mai se sham hoti hai
raushni ki saDkon par KHauf gungunata hai
sar se raat aati hai lai se sham hoti hai
main pakaD ke rakhta hun tirgi ko aankhon mein
kuchh samajh nahin aata kaise sham hoti hai
mere asr ka suraj baad-e-asr ugta hai
phir siyahi ke haq mein jaise sham hoti hai
gate khaTkhaTata hun jab bhi der se 'aswad'
us ko raat lagti hai waise sham hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.