kab KHazana talash karta hun
kab ḳhazāna talāsh kartā huuñ
āb-o-dāna talāsh kartā huuñ
jis zamāne ko hai talāsh mirī
vo zamāna talāsh kartā huuñ
le ke dariyā ko apnī muTThī meñ
koī pyāsā talāsh kartā huuñ
kām-dhandā hai ab yahī merā
kām-dhandā talāsh kartā huuñ
terā chehra to har taraf paayā
apnā chehra talāsh kartā huuñ
thak gayā huuñ talāsh kar kar ke
phir dobāra talāsh kartā huuñ
ek manzar hasīñ banāyā hai
aañkh vaalā talāsh kartā huuñ
raakh kā Dher hai mire aage
is meñ sho.ala talāsh kartā huuñ
'ābdī' be-gharī ne maar diyā
shab-baserā talāsh kartā huuñ
kab KHazana talash karta hun
aab-o-dana talash karta hun
jis zamane ko hai talash meri
wo zamana talash karta hun
le ke dariya ko apni muTThi mein
koi pyasa talash karta hun
kaam-dhanda hai ab yahi mera
kaam-dhanda talash karta hun
tera chehra to har taraf paya
apna chehra talash karta hun
thak gaya hun talash kar kar ke
phir dobara talash karta hun
ek manzar hasin banaya hai
aankh wala talash karta hun
rakh ka Dher hai mere aage
is mein shoala talash karta hun
'abdi' be-ghari ne mar diya
shab-basera talash karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.