kab khet umidon ke tah-e-ab na aae
kab khet umīdoñ ke tah-e-āb na aa.e
kis rut meñ nirāshāoñ ke sailāb na aa.e
kuchh log madad ko to kināroñ pe khaḌe the
par Dūbne vaale hī sar-e-āb na aa.e
ai ziist hue dost mire surḳh-rū jin se
mujh ko tirī mahfil ke vo ādāb na aa.e
is shahr meñ sharminda har ik dar pe na hote
kyoñ hāthoñ ko ham sang tale daab na aa.e
Dartā huuñ 'sabā' kasrat-e-bārān-e-karam se
dil ret kā ghar hai kahīñ sailāb na aa.e
kab khet umidon ke tah-e-ab na aae
kis rut mein nirashaon ke sailab na aae
kuchh log madad ko to kinaron pe khaDe the
par Dubne wale hi sar-e-ab na aae
ai zist hue dost mere surKH-ru jin se
mujh ko teri mahfil ke wo aadab na aae
is shahr mein sharminda har ek dar pe na hote
kyon hathon ko hum sang tale dab na aae
Darta hun 'saba' kasrat-e-baran-e-karam se
dil ret ka ghar hai kahin sailab na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.