kab khulega ki falak par se aage kya hai
kab khulegā ki falak paar se aage kyā hai
kis ko mālūm ki dīvār se aage kyā hai
ek turra sā to maiñ dekh rahā huuñ lekin
koī batlā.e ki dastār se aage kyā hai
zulm ye hai ki yahāñ biktā hai yūsuf be-dām
aur nahīñ jāntā bāzār se aage kyā hai
sar meñ saudā hai ki ik baar to dekhūñ jā kar
sar-e-maidān sajī daar se aage kyā hai
jis ne insāñ se mohabbat hī nahīñ kī 'tābish'
us ko kyā ilm ki pindār se aage kyā hai
kab khulega ki falak par se aage kya hai
kis ko malum ki diwar se aage kya hai
ek turra sa to main dekh raha hun lekin
koi batlae ki dastar se aage kya hai
zulm ye hai ki yahan bikta hai yusuf be-dam
aur nahin jaanta bazar se aage kya hai
sar mein sauda hai ki ek bar to dekhun ja kar
sar-e-maidan saji dar se aage kya hai
jis ne insan se mohabbat hi nahin ki 'tabish'
us ko kya ilm ki pindar se aage kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.