kab KHun mein bhara daman-e-qatil nahin malum
kab KHun mein bhara daman-e-qatil nahin malum
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
kab ḳhuuñ meñ bharā dāman-e-qātil nahīñ ma.alūm
kis vaqt ye dil ho gayā bismil nahīñ ma.alūm
us qāfile meñ jaate haiñ mahmil to hazāroñ
par jis meñ ki lailā hai vo mahmil nahīñ ma.alūm
darpesh hai juuñ ashk safar ham ko tarī kā
din raat chale jaate haiñ manzil nahīñ ma.alūm
hairān haiñ ham us ke muammā-e-dahan meñ
kyūñ-kar khule ye uqda-e-mushkil nahīñ ma.alūm
ai 'mus.hafī' jal-bhun ke huā ḳhaak meñ saarā
dikhlāvegī ab kyā tapish-e-dil nahīñ ma.alūm
kab KHun mein bhara daman-e-qatil nahin malum
kis waqt ye dil ho gaya bismil nahin malum
us qafile mein jate hain mahmil to hazaron
par jis mein ki laila hai wo mahmil nahin malum
darpesh hai jun ashk safar hum ko tari ka
din raat chale jate hain manzil nahin malum
hairan hain hum us ke muamma-e-dahan mein
kyun-kar khule ye uqda-e-mushkil nahin malum
ai 'mushafi' jal-bhun ke hua KHak mein sara
dikhlawegi ab kya tapish-e-dil nahin malum
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 193)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.