kab kis ko mayassar hai ye rutba ye amari
kab kis ko mayassar hai ye rutba ye amārī
phūloñ kī kaTorī meñ hai shabnam kī savārī
āñkhoñ meñ jalā.e ga.e phir ḳhvāb tumhāre
siine se kharochī ga.ī phir yaad tumhārī
ai lāDlī bachchī merī baabā tere sadqe
sau rañg mire ghar meñ tū le kar hai padhārī
sab ilm-o-adab le gayā 'sājid' kā gharānā
baiThe rahe kaasa liye masnad pe bhikārī
kab kis ko mayassar hai ye rutba ye amari
phulon ki kaTori mein hai shabnam ki sawari
aankhon mein jalae gae phir KHwab tumhaare
sine se kharochi gai phir yaad tumhaari
ai laDli bachchi meri baba tere sadqe
sau rang mere ghar mein tu le kar hai padhaari
sab ilm-o-adab le gaya 'sajid' ka gharana
baiThe rahe kasa liye masnad pe bhikari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.