kab kisi ke kahe par chala aadmi
kab kisī ke kahe par chalā aadmī
zulmatoñ meñ bhaTaktā rahā aadmī
har tarah kā yahāñ par milā aadmī
DhūñDne par milā na bhalā aadmī
us kī fahm-o-farāsat to dekho zarā
zindagī ko samajhtā sazā aadmī
us se bad-tar koī lamha hotā nahīñ
haar jaatā hai jab hausla aadmī
āsmāñ phaT gayā aur khiskī zamīñ
jab kabhī ban gayā hai ḳhudā aadmī
us kī fitrat meñ paanī kī tāsīr hai
DhūñD letā hai ḳhud rāsta aadmī
sang bhī mom bhī ḳhaar bhī phuul bhī
aag paanī havā ḳhaak kā aadmī
mat satā us kī aahoñ se Dar mat satā
dekh pahle se hai dil-jalā aadmī
zindagī ke ka.ī rang raushan hue
jab kisī dil meñ jā kar basā aadmī
daaġh patthar ke bhī saaf ho jā.eñge
ā.īna dekh to le 'ziyā' aadmī
kab kisi ke kahe par chala aadmi
zulmaton mein bhaTakta raha aadmi
har tarah ka yahan par mila aadmi
DhunDne par mila na bhala aadmi
us ki fahm-o-farasat to dekho zara
zindagi ko samajhta saza aadmi
us se bad-tar koi lamha hota nahin
haar jata hai jab hausla aadmi
aasman phaT gaya aur khiski zamin
jab kabhi ban gaya hai KHuda aadmi
us ki fitrat mein pani ki tasir hai
DhunD leta hai KHud rasta aadmi
sang bhi mom bhi KHar bhi phul bhi
aag pani hawa KHak ka aadmi
mat sata us ki aahon se Dar mat sata
dekh pahle se hai dil-jala aadmi
zindagi ke kai rang raushan hue
jab kisi dil mein ja kar basa aadmi
dagh patthar ke bhi saf ho jaenge
aaina dekh to le 'ziya' aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.