kab kisi ko main pyar karta hun
kab kisī ko maiñ pyaar kartā huuñ
uzr un se hazār kartā huuñ
jaise sach-much vo aane vaale haiñ
un kā yuuñ intizār kartā huuñ
dil pe girtī hai ek bijlī sī
un se nazreñ jo chaar kartā huuñ
jin ko nafrat hai mujh se maiñ un ko
ek muddat se pyaar kartā huuñ
ḳhud jalā kar maiñ āshiyāñ apnā
intizār-e-bahār kartā huuñ
jhūTī qasmoñ kā un kī ai 'māhir'
aaj tak e.atibār kartā huuñ
kab kisi ko main pyar karta hun
uzr un se hazar karta hun
jaise sach-much wo aane wale hain
un ka yun intizar karta hun
dil pe girti hai ek bijli si
un se nazren jo chaar karta hun
jin ko nafrat hai mujh se main un ko
ek muddat se pyar karta hun
KHud jala kar main aashiyan apna
intizar-e-bahaar karta hun
jhuTi qasmon ka un ki ai 'mahir'
aaj tak eatibar karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.