kab mili hai nazar hum nahin jaante
kab milī hai nazar ham nahīñ jānte
kab huī hai sahar ham nahīñ jānte
raat hai yā sahar ham nahīñ jānte
kaise hogī basar ham nahīñ jānte
aap haiñ jaan agar to jigar ham bhī haiñ
farq-e-jān-o-jigar ham nahīñ jānte
pūchhnā hai to phir pūchhiye barq se
kyoñ jalā ghar kā ghar ham nahīñ jānte
dekhnā hai jise dekhte haiñ use
ehtiyāt-e-nazar ham nahīñ jānte
ham ne uḌnā hai 'muftī' uḌeñge zarūr
rezish-e-bāl-o-par ham nahīñ jānte
kab mili hai nazar hum nahin jaante
kab hui hai sahar hum nahin jaante
raat hai ya sahar hum nahin jaante
kaise hogi basar hum nahin jaante
aap hain jaan agar to jigar hum bhi hain
farq-e-jaan-o-jigar hum nahin jaante
puchhna hai to phir puchhiye barq se
kyon jala ghar ka ghar hum nahin jaante
dekhna hai jise dekhte hain use
ehtiyat-e-nazar hum nahin jaante
hum ne uDna hai 'mufti' uDenge zarur
rezish-e-baal-o-par hum nahin jaante
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.