kab mere haq mein chalai hai zaban logon ne
kab mire haq meñ chalā.ī hai zabāñ logoñ ne
har jagah apnī chalā.ī hai dukāñ logoñ ne
tarz-e-ulfat rakhā duniyā se nihāñ logoñ ne
aur adāvat ko yahāñ rakkhā ayaañ logoñ ne
firqoñ meñ baañT ke ham sāda-mizājoñ ko yahāñ
apne baare meñ rakhā achchhā gumāñ logoñ ne
maiñ samajhtā thā yahīñ log sarāheñge mujhe
baad marne ke sunī āh-o-fuġhāñ logoñ ne
haath phailā.e hue duniyā-e-dil daan kī hai
jab kabhī ham ko pukārā ye jahāñ logoñ ne
kab mere haq mein chalai hai zaban logon ne
har jagah apni chalai hai dukan logon ne
tarz-e-ulfat rakha duniya se nihan logon ne
aur adawat ko yahan rakkha ayan logon ne
firqon mein banT ke hum sada-mizajon ko yahan
apne bare mein rakha achchha guman logon ne
main samajhta tha yahin log sarahenge mujhe
baad marne ke suni aah-o-fughan logon ne
hath phailae hue duniya-e-dil dan ki hai
jab kabhi hum ko pukara ye jahan logon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.