kab meri baat tu mana hai dil
kab mirī baat tū maanā hai dil
us kā āshiq to zamāna hai dil
yuuñ use dekh rahā hai kab se
kyā tujhe jaan se jaanā hai dil
raat pahlū meñ tire guzregī
ḳhvāb to sirf bahāna hai dil
karnā kuchh ġham ki yahī duniyā hai
isī kā naam zamāna hai dil
ab muqaddar meñ bhī qismat meñ bhī
sirf aañsū hī bahānā hai dil
vo tire paas hī to hai 'dā.em'
ab batā de tū batānā hai dil
kab meri baat tu mana hai dil
us ka aashiq to zamana hai dil
yun use dekh raha hai kab se
kya tujhe jaan se jaana hai dil
raat pahlu mein tere guzregi
KHwab to sirf bahana hai dil
karna kuchh gham ki yahi duniya hai
isi ka nam zamana hai dil
ab muqaddar mein bhi qismat mein bhi
sirf aansu hi bahana hai dil
wo tere pas hi to hai 'daem'
ab bata de tu batana hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.