kab nazaron ka saman dekha hai
kab nazāroñ kā samāñ dekhā hai
tum ne bas daur-e-ḳhizāñ dekhā hai
tum ne ḳhud ko hī nahīñ dekhā abhī
tum jo kahte ho jahāñ dekhā hai
aag dekhī hī kahāñ hai tum ne
tum ne to sirf dhuāñ dekhā hai
dar-haqīqat unheñ dekhā bhī nahīñ
aur kah baiThe ki haañ dekhā hai
un kī mahfil meñ 'ajab dekhā haal
shaiḳh ko raqs-kunāñ dekhā hai
tere sajdoñ kī taḌap rab jaane
ham ne māthe kā nishāñ dekhā hai
kyā kisī aur ko dekhe 'faisal'
us ne ḳhud ko hī kahāñ dekhā hai
kab nazaron ka saman dekha hai
tum ne bas daur-e-KHizan dekha hai
tum ne KHud ko hi nahin dekha abhi
tum jo kahte ho jahan dekha hai
aag dekhi hi kahan hai tum ne
tum ne to sirf dhuan dekha hai
dar-haqiqat unhen dekha bhi nahin
aur kah baiThe ki han dekha hai
un ki mahfil mein 'ajab dekha haal
shaiKH ko raqs-kunan dekha hai
tere sajdon ki taDap rab jaane
hum ne mathe ka nishan dekha hai
kya kisi aur ko dekhe 'faisal'
us ne KHud ko hi kahan dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.