kab peD ki manind Thaharte hain musafir
kab peḌ kī mānind Thaharte haiñ musāfir
sūraj ko liye saath guzarte haiñ musāfir
yuuñ ḳhauf-e-fasādāt se chupkā hai zamāna
ab shahr meñ aane se bhī Darte haiñ musāfir
tārīki-e-shab kāhkashāñ maañg rahī hai
phir raat ke pahlū meñ sañvarte haiñ musāfir
ghar se to nikal aa.e haiñ jazbāt kī rau meñ
nairañgi-e-hālāt se Darte haiñ musāfir
sāhil kā tajassus hai junūñ-ḳhez hai manzar
girdāb meñ hañs hañs ke utarte haiñ musāfir
maiñ ek samundar huuñ tah-e-āb mujhe dekh
mujh se hī guhar le ke ubharte haiñ musāfir
himmat na kabhī haar na māyūs ho 'ḳhālid'
koshish kī badaulat hī sañvarte haiñ musāfir
kab peD ki manind Thaharte hain musafir
suraj ko liye sath guzarte hain musafir
yun KHauf-e-fasadat se chupka hai zamana
ab shahr mein aane se bhi Darte hain musafir
tariki-e-shab kahkashan mang rahi hai
phir raat ke pahlu mein sanwarte hain musafir
ghar se to nikal aae hain jazbaat ki rau mein
nairangi-e-haalat se Darte hain musafir
sahil ka tajassus hai junun-KHez hai manzar
girdab mein hans hans ke utarte hain musafir
main ek samundar hun tah-e-ab mujhe dekh
mujh se hi guhar le ke ubharte hain musafir
himmat na kabhi haar na mayus ho 'KHalid'
koshish ki badaulat hi sanwarte hain musafir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.