kab phul khilen shaghl chhiDe jama-dari ka
kab phuul khileñ shaġhl chhiḌe jāma-darī kā
dīvānoñ ko chaska hai isī ḳhush-ḳhabarī kā
so.e the sar-e-shām khulī pichhle pahar aañkh
muñh dekh ke uTThe haiñ charāġh-e-saharī kā
kuchh apnī taraf merī nigāhoñ se bhī dekho
is ruḳh se bhī ik baab khule ḳhud-nigarī kā
nā-sāz havā-e-par-e-parvāz na ho jaa.e
mausam to gayā ḳhair se be-bāl-o-parī kā
ye chāñd ye sūraj ye añdherā ye ujālā
muñh dekh rahā hai safarī har safarī kā
qaa.em nahīñ rahtī haiñ kisī shai pe nigāheñ
ab koī Thikānā hai pareshāñ-nazarī kā
fitrat hī se miltī hai 'razā' dād-e-suḳhan bhī
jab farz adā hotā hai paiġhāmbarī kā
kab phul khilen shaghl chhiDe jama-dari ka
diwanon ko chaska hai isi KHush-KHabari ka
soe the sar-e-sham khuli pichhle pahar aankh
munh dekh ke uTThe hain charagh-e-sahari ka
kuchh apni taraf meri nigahon se bhi dekho
is ruKH se bhi ek bab khule KHud-nigari ka
na-saz hawa-e-par-e-parwaz na ho jae
mausam to gaya KHair se be-baal-o-pari ka
ye chand ye suraj ye andhera ye ujala
munh dekh raha hai safari har safari ka
qaem nahin rahti hain kisi shai pe nigahen
ab koi Thikana hai pareshan-nazari ka
fitrat hi se milti hai 'raza' dad-e-suKHan bhi
jab farz ada hota hai paighambari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.