kab ruka daur-e-jam yaad nahin
kab rukā daur-e-jām yaad nahīñ
tauba kab aa.ī kaam yaad nahīñ
kab pareshāñ huiiñ tirī nazreñ
aur kab aa.ī shaam yaad nahīñ
lazzat-e-guftugū hai yaad ab tak
kaun thā ham-kalām yaad nahīñ
kab tasavvur se mere guzrā thā
vo nasīm-e-ḳhirām yaad nahīñ
rahzan-e-hosh un meñ kaun banā
vo nigāheñ ki jaam yaad nahīñ
yuuñ 'vasī' kā pata batāte haiñ
dil meñ rahtā hai naam yaad nahīñ
kab ruka daur-e-jam yaad nahin
tauba kab aai kaam yaad nahin
kab pareshan huin teri nazren
aur kab aai sham yaad nahin
lazzat-e-guftugu hai yaad ab tak
kaun tha ham-kalam yaad nahin
kab tasawwur se mere guzra tha
wo nasim-e-KHiram yaad nahin
rahzan-e-hosh un mein kaun bana
wo nigahen ki jam yaad nahin
yun 'wasi' ka pata batate hain
dil mein rahta hai nam yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.